Saturday, 26 August 2023

khaab

Khayaalon me ek khayal aya
Sanyog se ankhein unse takrai
Khil utha tha chehra unhe dekh kar
Kashmash ta wo sama kaisa hoga
Jab fir se barso baad unhe dekhungi 
Bhar nazar unko dekh zehen m utaar lungi
Ya nazrein chura ke unki aanhein bharungi
Aur kya hoga gar nazrein takra gai
Naino ko rok unhe chor sadke nihaarungi
Ya unse nazrein mila nigaahon se guftgu karungi
Kya fir se unki ankhon me khud ko dekh paungi
Kya wo pyaar dikhega unki aankhon m
Ki jis pyaar ki khatir humne duniya se bagawat kar dala
Wo aj bhi hamein apne ankhon me basaye honge.

Ek baar ko khayaalon me hi khud ko rok lia
Kya hoga gar unki nazron me hum nahi
Kaisa hoga nazrana jo nazrein mil kar bhi anjaan hogi
Wo humnava fir nazron se qatal kar dil Todd jaega.

No comments:

Post a Comment

Articulation

O feelings! O feelings! Hold on.. Keep it all buried Ere before he notices all Before he gets to see you  Before the world sees you Behold w...