Kuch na ho kar bhi Jo thoda sa hai
Bina lafzon pe utare Jo Dil me hai
Thoda thoda zada sa par Kam sa hai
Wohi Jo ab nahi hai hamaare beech.
Kabhi hokar bhi nahi tha aur
Naa hokar bhi aj hai
Haan bus yahi,
Jo halak pe hokar bhi jubaan pe nahi h
Kehna to hai par kon kahey
Jataane ke jiske bahaane dhund lete hain
Par jaan kar bhi anjaan rehte hain
Chalo raasta to nikla kamsekam
Kismat ki lakeeron ko maana to sahi
Wo Mera hai bhi aur nahi bhi
Mai naa hokar bhi uski hui
Thoda uski thoda apni
Dhadakti saanson me padha hai
Dur hokar bhi paas dekha hai
Jo qareeb se dur rehta hai
Ehsaas rakh kar bhi chupata hai
Chupaa kar bhi jataata hai
Mushkil hai samajhna
Haan maanti hu
Uljhanon se bhari hai ye
Par Dil ke jis koney se
Un lamhon me khushiyan banti ti
Wo dard Jo mil kar sameta tha
Kuch Jo Aaj b adhura sa hai
Dono k sath m bhi kbhi poora na hai
Wo ehsaas
Jo mohobbat ki gali naa gaya
Aur Ishq ke mohalle se taalukh na raha
Kuch adhura shayad tumhara
Kuch kamiyan meri
Wo hissa mera Jo tera na hua
Wo tukra tumhara Jo Mera na hua
Adhure se is khaalipan me
Jo tumne mujhse, maine tumse
Bin kahey jataa liya
Aesa h ye rhistha hamara.
No comments:
Post a Comment